Free Web Hosting Provider - Web Hosting - E-commerce - High Speed Internet - Free Web Page
Search the Web


Back to Home Page

My HERO

Me & Big B

Big B Style

BIG B Movies

Contact ME

Guest Book Page

New SHAYARI

Favorite URLs

Akayla !! KUCH NAYE SHER TOU SUNAAO YAAR !!

"Shaam Hote Charaagon Ko Bujhaa Detaa hoon..Yeh Dil Hi Kaafi hain..Teri yaad main Jalne Ke Liye " Wah Wah !! Akayla ..!!


NEW SHER: 1) US NE RUKH SE HATAKE BAALON KO

Us ne rukh se hataa ke baalon ko
Raasta de diyaa ujaalon ko
Jaate jaate jo mud ke dekh liyaa
Aur uljhaa diyaa Khayaalon ko
Ek halki si muskuraahat se
Us ne hal kar diyaa savaalon ko
Mar gaye ham to dekh lenaa Logon
Yaad aayenge husn waalon ko

Nice one, Akayla !! BTW That is not original Ghazal ..rite..!!


NEW SHER: 2) AAP JIN KE KARIB HOTE HAIN

Aap Jin ke Kareeb hote hain
Woh bade Khush Naseeb hote hain ... !!
Jab Tabiyat Kisi Pe Aati Hain
Maut ke Din Kareeb hote Hain ...!!
Mujh se Milnaa Phir Aapka milnaa, Aap kis ko naseeb hote hain
Zulm sah kar jo uff nahin karte, Unke dil bhi Ajeeb hote hain

Nice one, Akayla !! BTW That is a Ghazal from somewhere..rite..!!


SHER: 3) Abhi Abhi Mere Dil mein Khayaal Aayaa Hain

Yahii bahut hai ke dil us ko DhoonD laayaa hain, kisi ke saath sahii vo nazar to laayaa hain!!

Karun Shikaayate Taktaa Rahun ke pyaar karun, Gayey bahaar ki suurat vo lautaa laayaa hain !!

Woh saamne tha magar ye yaqin na aataa thaa, Woh aap hai ke meri Khvaahishon kaa saayaa hain !!

Main kya karunga agar woh na mil sakaa "Akayla" Abhi Abhi Mere Dil mein Khayaal aayaa hain !!

Wah AKAYLA Wah !! Kya Mast Khayaal Hain ..yaar..!!


"Kaash MAIN tere haseen haath ka KANGAN hotaa !!

"Kaash MAIN tere haseen haath ka KANGAN hotaa !!

Tu badey pyaar se, love and feelings ke saath
Apnee naazuk si kalaaee mein CHADHAATI MUJHKO !!

Aur betaabi se mujhe soch soch ke..
Tu Meri yaad main, Kangan ki tarah GHUMATI MUJHKO !!

Main tere haath ki Khushbu se MAHAK jaataa
Jab bhi tu "mood" mein aa kar MUJHE KISS KARTI !!

Tere HOTHON ki Touch se, Main Ignite ho jaataa
Raat ko jab bhi tu, Dreams ke Vacation pe jaati !!

Soft and Velvety haath kaa, Ek takiyaa banaati tu agar,
Main tere Goad main sar rakh kar, bahut si baatein kartaa !!

Teri zulfon ko, tere gaal ko chuumaa kartaa
Mujhko Sensual saa rakhtaa, Teri chaahat kaa nashaa !!

Main teri Soul ke gulshan mein, Mahaktaa(Blooming) hota
Main tere jism ke aangan mein KHANAKTAA RAHTAA !!

Kuchh nahin to yahii, apna Benaam(Un-Said) bandhan rahegaa
Tere kangan ki aawaz, Akayla Ki Dastaan kahegaa !!

Wah AKAYLA Wah !! Great Expressionism ..yaar..!!



Dekh Lo Aawaaz De Kar.....Paas Apney Paoge!!Dekh Lo Aawaaz De Kar...Paas Apney Paoge..!!!! ..Aaogey Tanhaa Magar.....Aoge Tanha Magar..!! Tanhaan Nahin Tum Jaoge.........!!!!! Wah Akayla Wah


Jiyo Ghalib...Jiyo..Akayla !! Wah Wah!!

Fal-safey Ishq Mein Pesh Aaye Savaalon Kii Tarah , Ham Pareshaan Hii Rahey Apne Khayaalon Kii Tarah , Shiishaagar Baithe Rahe Zikr-E-Masiihaa Lekar , Aur Ham Toot Gaye Kaanch Ke Pyaalon Kii Tarah , Jab Bhii Anjaam-E-Muhabbat Ne Pukaara Khud Ko , Waqt Ne Pesh Kiyaa Hamko Misaalon Kii Tarah , Zikr Jab Hogaa Muhabbat Mein Tabaahii Kaa Aye Akayla , Yaad Ham Aayenge Duniyaa Ko Havaalon Kii Tarah !! Wah Akayla Wah!!!


Himmat aur Mohabbat Sher

Dil Mein Naa ho Himmat, Tou Mohabbat nahiin miltee...

Khairaat mein itanii badee daulat nahiin miltee !!!
[Himmat = courage; Khairaat = charity]

Kuchh log yuun hii, Shahar mein ham se bhii Khafaa hain,
Har ek se apanii bhii, tabiiyat nahin miltii, !!!
[Khafaa = annoyed/angry]

Dekhaa thaa jise maine, Koi aur thaa shaayad
Voh kaun hai jis se, terii surat nahiin miltii, !!!

Hanste huye cheharon se, Hai Duniya kii Zeenat,
Rone ko yahaan vaise bhii, Fursat nahiin miltee !!!
[Zeenat = beauty/adornment; Fursat = leisure time]
!!

Excellent Sher Yaar, Who broke ur heart !!! Akayla !!


 

INSPIRED SHAAYARI

"Kaun Rakh ta hai Yaad Naamo Ko, Logh Cheharon Ko Bhool Jatey hain, !! Tum Samander Kee Baat Karti Ho Logh Ankhon Mein Doob Jaatey Hain ..!! " Wah Akayla !!


BARBAAD MOHABBAT SHEYR

Bhoole hain rafta rafta Unhain muddaton main hum, Qistoon main khudkushi ka maza hum say pocheeye !!
Wah Akayla !!


Meri Slippery Mohabbat Ne Duboya hai mujhe, !! Itna lubricated houn ke her dil main utter jaata houn !!
Wah Akayla !!


Kehte hain haath main taqdeer hua karti hai, Kal younhi haath pe ek naam likha dair talak !!!
!!Kya Baat hai !! Akayla !!


Sir jis pe na jhuk jaye usse der naheen kahte ..!!! Har der pe jo jhuk jaye usse sir naheen kahte !!! !!
Kya Baat hai !! Akayla !!


Khowab toote thay agar tere bhi, meree hi tarha, !! Boujh kuch teree bhi palkon ne uthaya hogaa !!! !!
Kya Baat hai !! Akayla !!


Tujh ko pooja tha, teree dehleez peh sajda na kya ..!!! Voh mera ishq tha, yeh meri khuddari hai !!!
!! Jiyo!! Akayla !!


Uthti naheen hai aankh kisi aur ki taraf, !!! Pa-band kar gayee hai kisi ki nazar mujhe !!!
Itni Mohabbat ..Wah !! Akayla !! ..


..Kal raat barasti raheen sawan ki ghataain, !! Aur hum bhi teri yaad main dil khol kar roye..!!
Kya bat hai yaar !! Akayla !!


Bas Ek Jhijhak Hai Yahii Haal-e-dil Sunaane mein ki teraa zikr bhii aayegaa is fasaane mein
[Jhijhak = hesitation; Zikr = mention; Fasaanaa = tale]

Baras padee thii jo rukh se nakaab uthaane mein, woh chandni hain abhi tak mere Garib-Khaane mein
[rukh = face; nakaab = veil; Garib-Khaane = Poor Man's shed]

Isii mein ishq ki kismat badal bhi sakti thi, jo waqt beet gayaa mujhko aazmaane mein

Yeh kah ke Tuut padaa shaakh-e-gul se aakhri Phuul, Ab aur der hai kitni bahaar aane mein??.


Shareefo mein koyi chor nahi hotaa,
Crows mein koyi Mor nahi hota
Nayee patang main koyi dor nahi hota,
Arre Mere Pyaaro...
ISHQ PE KOI ZOR NAHIN HOTAA ..!!"
WAH AKAYLA KYA BAAT HAIN!!.....
Wah Akayla Wah !! Great Use of Lyrics....!!